Saturday, November 13, 2010

uski aakhiri tasweer

"USKI AAKHIRI TASWEER"


nhi suni mhiaine kisi or ki jubani
yeh to hai meri aankho dekhi khani
apne akele pan se uba hua sa
aanjane khyalo main duba hua sa
us din main tanha chat pe khada tha
aankhe bas raho pe gadi thi
pehli bar maine uski jhalak payi thi
pados main rehne wo or uski budhi maa aayi thi
mujhe malom nhi kya nam tha uska
durbal samwla aakarshak chehra tha uska
khidki se dekha ek din use chitar bnate hue
badrang kagaz par tuli se jeevan sjate hue
han ek umda klakar thi wo
shant sanjida chitarkar thi wo
un manmohak chitro ko dekhne ke lalch se
uske ghar gya yu bhane se
gajab ka aakarshan tha uske sabhi chitro main
apni krityan dikhati or muskurati jati thi
main tarif krta par wo hansti jati thi
un chitro main aisa khoya ki naam puchne ki bhi sudh moya na rha
5 ghant pta nhi kaise un chitro main khoya rha
jate jate maine kha dhany hai ye hath jo bejan chitro main jan dal dete hai
pehli bar usne kha nhi dhany hai wo ishwar jo in hatho main kla dete hai
agle din kisi rudan se meri neend khuli thi
pta chala uski maa chila chila kar ro rhi thi
maine sabko kehte suna ye to hona he tha
kanser rogi thi use to duniya se jana he tha
is vajrpat main main stabdh khada tha
dukhi tha kintu main ro bhi na ska tha
vyathit us budhi maa ko dekha to kuch yad aaya
uska veh aakhiri chitar aankho main utar aaya
bilkul yhi han bilkul yhi drishy tha usme
aaj bhi meri yadon main jinda hai wo or uski aakhiri tasweer
veh marmik hridyvidark pidadayi aakhiri tasweer



Narender sharma "TANHA"

No comments:

Post a Comment