Wednesday, November 17, 2010

sher

unhone hume keh diya sharab pine ke liye
unhone hume keh diya jakhmi dil sine ke liye
hum kya krte bhulna he pda unhe
apni kasam de di unhone khud ko bhulne ke liye

Sunday, November 14, 2010

my heart close

jahan main agar pani ke badal aaye hote
maine mitti ke gharonde na bnaye hote
dhup ke ek he mosam ne jinhe tod diya
itne najuk bhi ye rishte na bnaye hote
dubte shahar main mitti ka mkan girta hai
tum ye sochke meri or to aaye hote
dhup ke shahar main ek umar na jalna padta
kash hum bhi kisi ped ke saye hote
fal padosi ke darakhto pe na pakte "Tanha"
mere aangan main ye pathar na aaye hote







teri yadein aksar rulati hai mujhe
gamo ki god main sulati hai mujhe
jab bhi sochta hu bhulne ki tujhe
jindgi mout se badtar najar aati hai mujhe

meri aankho main uska khwab aaj bhi hai
mere lafjo main uska nam aaj bhi hai
e mere hamsafar tu he bta kaise bhulu tujhe
mere dilo-dimag mai bsi wo aaj bhi hai


sangeet sunne se dhyan nahi milta,
mandir jane se bhagwan nahi milta,
log patthar pujte hain isiliye kyunki,
har kisi ko tum sa inssan nahi milta,

kabhi mujh ajnabi se jaan he mangkar dekh
jindgi bojh si lagti hai tere bin



Chup reh kar wo aanshu pee gaye,
toote dil ka har dard seh gaye,
na aaya jeetegi unki mohobbat par yakeen,
hosh aya tab jab marte-marte bhi wo humein wafa ka tofa de gaye.


Hamare do aansu girne se,
banzar zameen bhi hari bhari ho gayi,
lekin na pighla paye us patthar dil ko,
jise pane ki chahat me maut zindagi ke kareeb ho gayi.

mulakat

JINDGI KI RAHO MAIN AGAR MULAKAT NA HOTI
TO MERI ANKHO SE SHAYAD BARSAT NA HOTI
1.PYAR TO KARTA THA TUJHSE,PAR AGAR TERA KHYAL RAKHTA
TERI NIGAH MAIN AANE-JANE WALO KA HAL RAKHTA
TO MERE PYAR KI SARE AAM MAT NA HOTI
TO MERI.........................................................
2.MERI TARAH AGAR TERE DIL MAIN PYAR HOTA
MERE PYAR PAR TUJHE THODA ETBAR HOTA
TO JUDAI KI YE LAMBI RAT NA HOTI
TO MERI.............................................
3.TU KARTI RAHI VADE JHUTHE PYAR KE
MAINE SACHE MANE TERE VADE IKRAR KE
AGAR PYAR HOTA DIL MAIN TERE KISI OR KI SHARIKE-HAYAT NA HOTI
TO MERI.................................................................
4.APNA BANAKE IS TARAH DHOKHA DIYA TUNE
DUNIYA KO MUJHPE HASNE KA MOKA DIYA TUNE
BHUL JATA MAIN SAB KUCH AGAR PYAR KI BAT NA HOTI
TO MERI........................................................
5.KYO TUNE DIL TODA MERA
MAINE KYA BURA KIYA THA TERA
ISSE ACHA MAIN DALL-DALL TU PAT-PAT NA HOTI
TO MERI..................................................................
6.MAJNU RANJHE KA UNKI MOHABAT SE NAM HO GAYA
TERE PYAR MAIN MAIN DUNIYA MAIN BADNAM HO GAYA
ISSE ACHA TUJHME MOHABAT KI JAJBAT NA HOTI
TO MERI................................................
7.MAIN JANTA HU KARTI THI TU PYAR MUJHSE
NAHI KHATA HUI PYAR MAIN TUJHSE
MIL JATE HUM AGAR DHARAM OR JAT-PAT NA HOTI
TO MERI.....................................
NARENDER "TANHA"

Saturday, November 13, 2010

uski aakhiri tasweer

"USKI AAKHIRI TASWEER"


nhi suni mhiaine kisi or ki jubani
yeh to hai meri aankho dekhi khani
apne akele pan se uba hua sa
aanjane khyalo main duba hua sa
us din main tanha chat pe khada tha
aankhe bas raho pe gadi thi
pehli bar maine uski jhalak payi thi
pados main rehne wo or uski budhi maa aayi thi
mujhe malom nhi kya nam tha uska
durbal samwla aakarshak chehra tha uska
khidki se dekha ek din use chitar bnate hue
badrang kagaz par tuli se jeevan sjate hue
han ek umda klakar thi wo
shant sanjida chitarkar thi wo
un manmohak chitro ko dekhne ke lalch se
uske ghar gya yu bhane se
gajab ka aakarshan tha uske sabhi chitro main
apni krityan dikhati or muskurati jati thi
main tarif krta par wo hansti jati thi
un chitro main aisa khoya ki naam puchne ki bhi sudh moya na rha
5 ghant pta nhi kaise un chitro main khoya rha
jate jate maine kha dhany hai ye hath jo bejan chitro main jan dal dete hai
pehli bar usne kha nhi dhany hai wo ishwar jo in hatho main kla dete hai
agle din kisi rudan se meri neend khuli thi
pta chala uski maa chila chila kar ro rhi thi
maine sabko kehte suna ye to hona he tha
kanser rogi thi use to duniya se jana he tha
is vajrpat main main stabdh khada tha
dukhi tha kintu main ro bhi na ska tha
vyathit us budhi maa ko dekha to kuch yad aaya
uska veh aakhiri chitar aankho main utar aaya
bilkul yhi han bilkul yhi drishy tha usme
aaj bhi meri yadon main jinda hai wo or uski aakhiri tasweer
veh marmik hridyvidark pidadayi aakhiri tasweer



Narender sharma "TANHA"