Sunday, November 14, 2010

my heart close

jahan main agar pani ke badal aaye hote
maine mitti ke gharonde na bnaye hote
dhup ke ek he mosam ne jinhe tod diya
itne najuk bhi ye rishte na bnaye hote
dubte shahar main mitti ka mkan girta hai
tum ye sochke meri or to aaye hote
dhup ke shahar main ek umar na jalna padta
kash hum bhi kisi ped ke saye hote
fal padosi ke darakhto pe na pakte "Tanha"
mere aangan main ye pathar na aaye hote







teri yadein aksar rulati hai mujhe
gamo ki god main sulati hai mujhe
jab bhi sochta hu bhulne ki tujhe
jindgi mout se badtar najar aati hai mujhe

meri aankho main uska khwab aaj bhi hai
mere lafjo main uska nam aaj bhi hai
e mere hamsafar tu he bta kaise bhulu tujhe
mere dilo-dimag mai bsi wo aaj bhi hai


sangeet sunne se dhyan nahi milta,
mandir jane se bhagwan nahi milta,
log patthar pujte hain isiliye kyunki,
har kisi ko tum sa inssan nahi milta,

kabhi mujh ajnabi se jaan he mangkar dekh
jindgi bojh si lagti hai tere bin



Chup reh kar wo aanshu pee gaye,
toote dil ka har dard seh gaye,
na aaya jeetegi unki mohobbat par yakeen,
hosh aya tab jab marte-marte bhi wo humein wafa ka tofa de gaye.


Hamare do aansu girne se,
banzar zameen bhi hari bhari ho gayi,
lekin na pighla paye us patthar dil ko,
jise pane ki chahat me maut zindagi ke kareeb ho gayi.

No comments:

Post a Comment