Sunday, July 25, 2010

manhus

meri maa jab tak thi jinda nahi hua main kabhi sharminda
mar gyi meri maa nikal gya mera julus
or duniya ne mujhe bola ye hai manhus
1.duniya ne meri sari khushiya ujad di
logo ko kya khu bhagwan ne meri jindgi bigad di
chinke meri maa ko bhagwan bhi ban gya kangus
or.........................................
2.bhagwan kisi ke sath kahi aisa na kare
chahe chin jae sab kuch par kisi ki maa na mare
bin maa ke bache jaise sukha ghas fus
or...........................................
3.duniya ne meri khushiyo ko aisi aag lagai
ghar ki sari khushiya jal gyi mach gyi ghor tabahi
bin maa ke bachoo ko jaise dimak gye ho chus
or...........................................
4.bache ko jab chot lage to dard bhi maa ko hota hai
par ab maa kaise dekhne aaye bacha bilakh bilakh kar rota hai
rukhi sukhi kha lete hai khan gya wo jus
or............................................
5.baap jab bache ko maare maa bich main aati hai
bache ke hisse ki chotein apne upar khati hai
ab nahi pta us maa ko chahe chale kartus
or..................................................
6.maa ke sath bache ko lad pyar sab karte hai
maaa ke marne ke bad bache nahi fir palte hai
bin maa ke bachoon ke liye sab ban jate hai khadus
or.................................................
7.meri maa or mere bich main rishta bda he nyara tha
chota hone ke karn main maa ko bda he pyara tha
meri vjah se mari meri maa duniya wale kehte hai
duniya ne nya naam diya mujhe manhus narender kehte hai
ye sunke mere sharir ka khun gya sab sukh
or..................................................

No comments:

Post a Comment