Wednesday, July 14, 2010

maa jinda hoti

mujhe khilakar khana khati mujhe dekh kar hansti roti
koi nahi hai apna yaro kash jinda meri maa hoti
1.maa ke hote jo pyar karti thi bua mami chachi tai
maa marne ke baad na yaro koi bhi mud ke aayi
mere aansuo ko meri maa apni aankho main boti
koi...........................
2.bin maa ke bachon ki yaro mout hai jindgi se achi
bin maa ke bachon ke hath se roti le jate hai panchi
bin maa ke bachon ki yaro mouut jindgi ko dhoti
koi......................................
3.maa ke pas baith ke garam roti khana chulhe choke ki
ab to yad reh gyi yaro us suhane moke ki
bachon ke liye maa apni raton ki neend hai khoti
koi...........................................
4.puchti hai bhagwan se bin maa ke bachon ki kilkoriya
khan gyi hai maa hmare hisse ki wo loriyan
meri bhi ghar aane ki koi baat johti
koi.................................
5.bap behan bhai bhabi pyar bahut to krte hai
par gum hue laad dular maa ke sine main to chubhte hai
bachon ke jakhmo ko maa apne ansoon se dhoti
koi.............................
6.bhagwan kisi ke sath bhi itna bura na kare
maa to kehta hu main yaro dushman ki bhi na mare
bachon ke kiye karmo ko apne sir par dhoti
koi.....................................
7.duniya ki bheed main yaro din to jaise taise kat jata haai
par akele main baithe "tanha"ka dil bhar aata hai
kash maa ki mout se pehle "narender"ki mout likhi hoti
koi...................................................

No comments:

Post a Comment