Monday, April 23, 2012

Dil Ka Najrana


Badi Muddat se chaha hai tujhe,
bade Duaon se paya hai tujhe,
tujhe bhulane ki socho bhi to kaise,
Kismat ki Lakiron se churaya hai tujhe!

Bina dard ke ansu bahaye nahi jate,
Bina pyar ke rishte nibhaye nahi jate,
E dost 1 baat yaad rakhna bina DIL diye
DIL paye bhi nahi jate.

Teri Yaad Bhi Kamal Karti Hai
Kesey Kesey Humse Sawal Karti Hai
Ek Pal Ko Tanha Nhi Hone Deti Mujhe
Ye Mera Kitna Khayal Karti Hai..!…

Kisi Ne Kaha Tha Kisi Se Kuch Na Kehna
Lage Chot Dil Pe To Khamosh Rehna
Jahan Chot Khana Wahin Muskurana..!
Mgar Muskurana es Ada C K Ro De Zamana…

Mohabbat mujhe thi usi se..Sanam.
Yadaon me uski yeh Dil tadpta raha ..
Maut bhi meri Chahat ko rok na saki..
Kabr me bhi yeh Dil Dhadkta raha.

Lafzon Par Baat Aye To Kya Karon
Koi Itna Yaad Aye To Kya Karon
Dil Karta Hai K Us Ko Aik Lamhay K Liye Dekh Lon
Par Wo Lamha Hi Na Aye To Kya Karon…

Hum To Masroof Thay Apni Tanhaiyon Mein
Muddatton Baad Kisi Ne Pukara Hai
Ek Pal To Ham Ruk Kar Sochne Lage
Kya Yehi Naam Hamara Hai…

Phul ki tarah haste raho to hum khush hai.
Dil kholkar jeete raho to hum khush hai,
ye nahi kehte ki roj milo,
bas kisi din yaad karliya karo to hum khush hai…

Ghar Se Bahir Wo Neqab Mai Nikli
Sari Gali Uski Talash Mai Nikli
Inkaar Karti Thi Wo Hamari Mohabt Se
Aur Hamari Hi Tasveer Unki Kitaab Se Nikli…

Mere pyaar ko duniya mein koi samajh na paya,
Rote thay jab tanha koi mere saath na aaya,
Mita diya khud ko unke liye pyaar mein,
Aur wo kehte hai ki mujhe pyaar karna na aaya…


Aaj Unko Maine Khafa Kar Diya
Aisa Laga Jaise Khud Se Daga Kar Diya
Unhe Kaise Manaau Sochte Rahe Din Bhar
Aaj To Aansuo Ne Bhi Aane Se Mana Kar Diya…


No comments:

Post a Comment